din-ba-din baDhti hi jati hain meri mayusiyan
din-ba-din baDhti hi jati hain meri mayusiyan
Vipin Suneja Shayeq
MORE BYVipin Suneja Shayeq
din-ba-din baḌhtī hī jaatī haiñ mirī māyūsiyāñ
aa.ina mujh ko dikhātī haiñ mirī māyūsiyāñ
ab nahīñ sūraj ugegā ab nahīñ hogī sahar
rāt-bhar mujh ko Darātī haiñ mirī māyūsiyāñ
surḳhiyāñ aḳhbār kī jab dekh letā huuñ kabhī
tan-badan meñ sansanātī haiñ mirī māyūsiyāñ
kaun sā sapnā huā sach kaun sī manzil milī
pūchhtī haiñ aur chiḌātī haiñ mirī māyūsiyāñ
ḳhud-kushī karnā koī āsān hotā hai bhalā
hausla merā baḌhātī haiñ mirī māyūsiyāñ
dard ke hī sur nikalte haiñ mire gītoñ se ab
saath mere gungunātī haiñ mirī māyūsiyāñ
din-ba-din baDhti hi jati hain meri mayusiyan
aaina mujh ko dikhati hain meri mayusiyan
ab nahin suraj ugega ab nahin hogi sahar
raat-bhar mujh ko Daraati hain meri mayusiyan
surKHiyan aKHbar ki jab dekh leta hun kabhi
tan-badan mein sansanati hain meri mayusiyan
kaun sa sapna hua sach kaun si manzil mili
puchhti hain aur chiDati hain meri mayusiyan
KHud-kushi karna koi aasan hota hai bhala
hausla mera baDhati hain meri mayusiyan
dard ke hi sur nikalte hain mere giton se ab
sath mere gungunati hain meri mayusiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.