din-bhar ki dauD raat ke auham waswase
din-bhar kī dauḌ raat ke auhām vasvase
ThanDī salonī shaam kī ḳhush-bū meñ Dhal ga.e
kirdār qatl karne lage log yuuñ ki ham
apne hī ghar meñ baiTh ke āvāra ban ga.e
raqs-e-nasīm-e-maut thā har-chand muḳhtasar
dariyā ke muñh pe phir bhī uchhal aa.e aable
nāzuk hai misl-e-māh magar surma.ī badan
ai jaañ tujhe ye kis ne diye ġhusl aag ke
din-bhar ki dauD raat ke auham waswase
ThanDi saloni sham ki KHush-bu mein Dhal gae
kirdar qatl karne lage log yun ki hum
apne hi ghar mein baiTh ke aawara ban gae
raqs-e-nasim-e-maut tha har-chand muKHtasar
dariya ke munh pe phir bhi uchhal aae aable
nazuk hai misl-e-mah magar surmai badan
ai jaan tujhe ye kis ne diye ghusl aag ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.