din-bhar suraj aag ugalta rahta hai
din-bhar sūraj aag ugaltā rahtā hai
chāñd bhī apne kaam meñ uljhā rahtā hai
jaane mujh meñ kaun taḌaptā rahtā hai
maiñ jiitā huuñ par vo mārtā rahtā hai
darvāze pe kunDī laTkī rahtī hai
khiḌkī se vo aatā jaatā rahtā hai
ḳhāmoshī kī bhāshā ḳhuub samajhtā hai
maiñ to chup huuñ par vo suntā rahtā hai
mere saare bādal sūkhe sūkhe haiñ
phir bhī āñgan bhīgā bhīgā rahtā hai
us se mil kar ḳhud se bāteñ karnī hai
mujh meñ kaun ye mere jaisā rahtā hai
zehn ke saare taar ulajhne lagte haiñ
dil bhī aksar bikhrā bikhrā rahtā hai
duniyā-dārī us ke bas kī baat nahīñ
vo kone meñ likhtā paḌhtā rahtā hai
maiñ ghar meñ hī rahtā huuñ aksar apne
ik sannāTā bāhar pasrā rahtā hai
din-bhar suraj aag ugalta rahta hai
chand bhi apne kaam mein uljha rahta hai
jaane mujh mein kaun taDapta rahta hai
main jita hun par wo marta rahta hai
darwaze pe kunDi laTki rahti hai
khiDki se wo aata jata rahta hai
KHamoshi ki bhasha KHub samajhta hai
main to chup hun par wo sunta rahta hai
mere sare baadal sukhe sukhe hain
phir bhi aangan bhiga bhiga rahta hai
us se mil kar KHud se baaten karni hai
mujh mein kaun ye mere jaisa rahta hai
zehn ke sare tar ulajhne lagte hain
dil bhi aksar bikhra bikhra rahta hai
duniya-dari us ke bas ki baat nahin
wo kone mein likhta paDhta rahta hai
main ghar mein hi rahta hun aksar apne
ek sannaTa bahar pasra rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.