din chhoTa hai raat baDi hai
din chhoTā hai raat baḌī hai
mohlat kam aur shart kaḌī hai
us kā ishāra pā kar mar jā
jiine ko ik umr paḌī hai
band nahīñ saare darvāze
ḳhair se bastī bahut baḌī hai
ḳhush haiñ makīñ ab donoñ taraf ke
biich meñ ik dīvār khaḌī hai
jaag rahī hai saarī bastī
aur galī sunsān paḌī hai
har pal chhoTī hotī duniyā
pahle se ab bahut baḌī hai
dil meñ chubhan hai haath meñ lekin
nāzuk sī phūloñ kī chhaḌī hai
sahrā kar diyā jis ne dil ko
sāvan kī ye vahī jhaḌī hai
jam.a hue sab dukh ke maare
jannat kī buniyād paḌī hai
ek diyā hai taaq meñ 'shāhīn'
aur sirhāne raat khaḌī hai
din chhoTa hai raat baDi hai
mohlat kam aur shart kaDi hai
us ka ishaara pa kar mar ja
jine ko ek umr paDi hai
band nahin sare darwaze
KHair se basti bahut baDi hai
KHush hain makin ab donon taraf ke
bich mein ek diwar khaDi hai
jag rahi hai sari basti
aur gali sunsan paDi hai
har pal chhoTi hoti duniya
pahle se ab bahut baDi hai
dil mein chubhan hai hath mein lekin
nazuk si phulon ki chhaDi hai
sahra kar diya jis ne dil ko
sawan ki ye wahi jhaDi hai
jama hue sab dukh ke mare
jannat ki buniyaad paDi hai
ek diya hai taq mein 'shahin'
aur sirhane raat khaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.