din Dhal chuka hai to main yahi raat le chalun
din Dhal chuka hai to main yahi raat le chalun
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
din Dhal chukā hai to maiñ yahī raat le chalūñ
gar vo nahīñ to us kī koī baat le chalūñ
tujh jaisā ḳhush-jamāl mire shahr meñ nahīñ
dil chāhtā hai aaj tujhe saath le chalūñ
tū fat.h-mand ho ke bhī sar kyuuñ jhukā rahā
maiñ to ḳhushī se apnī yahī maat le chalūñ
maiñ ḳhush-gumān rah ke hī ḳhush-baḳht ho ga.ī
mujh pe guzar ga.e jo vo hālāt le chalūñ
maiñ chāhtī huuñ us se ajab intiqām luuñ
'bushrā' ab apne saare vo jazbāt le chalūñ
din Dhal chuka hai to main yahi raat le chalun
gar wo nahin to us ki koi baat le chalun
tujh jaisa KHush-jamal mere shahr mein nahin
dil chahta hai aaj tujhe sath le chalun
tu fath-mand ho ke bhi sar kyun jhuka raha
main to KHushi se apni yahi mat le chalun
main KHush-guman rah ke hi KHush-baKHt ho gai
mujh pe guzar gae jo wo haalat le chalun
main chahti hun us se ajab intiqam lun
'bushra' ab apne sare wo jazbaat le chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.