din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
din Dhal chukā thā aur parinda safar meñ thā
saarā lahū badan kā ravāñ musht-e-par meñ thā
jaate kahāñ ki raat kī bāñheñ thiiñ mushta.il
chhupte kahāñ ki saarā jahāñ apne ghar meñ thā
had-e-ufuq pe shaam thī ḳheme meñ muntazir
aañsū kā ik pahāḌ sā haa.il nazar meñ thā
lo vo bhī ḳhushk ret ke Tiile meñ Dhal gayā
kal tak jo ek koh-e-girāñ rahguzar meñ thā
utrā thā vahshī chiḌiyoñ kā lashkar zamīn par
phir ik bhī sabz paat na saare nagar meñ thā
pāgal sī ik sadā kisī ujḌe makāñ meñ thī
khiḌkī meñ ik charāġh bharī-dopahar meñ thā
us kā badan thā ḳhauf kī hiddat se sho.ala-vash
sūraj kā ik gulāb sā tasht-e-sahar meñ thā
din Dhal chuka tha aur parinda safar mein tha
sara lahu badan ka rawan musht-e-par mein tha
jate kahan ki raat ki banhen thin mushtail
chhupte kahan ki sara jahan apne ghar mein tha
had-e-ufuq pe sham thi KHeme mein muntazir
aansu ka ek pahaD sa hail nazar mein tha
lo wo bhi KHushk ret ke Tile mein Dhal gaya
kal tak jo ek koh-e-giran rahguzar mein tha
utra tha wahshi chiDiyon ka lashkar zamin par
phir ek bhi sabz pat na sare nagar mein tha
pagal si ek sada kisi ujDe makan mein thi
khiDki mein ek charagh bhari-dopahar mein tha
us ka badan tha KHauf ki hiddat se shoala-wash
suraj ka ek gulab sa tasht-e-sahar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.