din fursaton ke chandni ki raat bech kar
din fursatoñ ke chāñdnī kī raat bech kar
ham kāmyāb ho ga.e jazbāt bech kar
ham ne bhī piile kar diye haiñ beTiyoñ ke haath
thoḌī bahut bachī thī jo auqāt bech kar
martī hai dhartī pyaas se ruñdhne lage gale
kuchh log mālā-māl haiñ barsāt bech kar
sochā hai ab ḳharīd leñ kuchh chāñd par zamīn
bhaa.ī kā hissa baap ke jazbāt bech kar
turra hai sar pe yā ki hai do-chār man kā bojh
rutba milā hai chain ke din raat bech kar
phūle nahīñ samā rahe muḳhbir chaman meñ aaj
gulshan kā raaz dushmanoñ ke haath bech kar
lagtā hai ahl-e-duniyā ko ab paanā hai 'salīl'
ohda ḳhudā kā aadmī kī zaat bech kar
din fursaton ke chandni ki raat bech kar
hum kaamyab ho gae jazbaat bech kar
hum ne bhi pile kar diye hain beTiyon ke hath
thoDi bahut bachi thi jo auqat bech kar
marti hai dharti pyas se rundhne lage gale
kuchh log mala-mal hain barsat bech kar
socha hai ab KHarid len kuchh chand par zamin
bhai ka hissa bap ke jazbaat bech kar
turra hai sar pe ya ki hai do-chaar man ka bojh
rutba mila hai chain ke din raat bech kar
phule nahin sama rahe muKHbir chaman mein aaj
gulshan ka raaz dushmanon ke hath bech kar
lagta hai ahl-e-duniya ko ab pana hai 'salil'
ohda KHuda ka aadmi ki zat bech kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.