din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath
din guzarte haiñ jo andesha-o-afkār ke saath
dil dhaḌaktā hai magar ranj-e-girāñ-bār ke saath
saiñkaḌoñ barsoñ pe phailī haiñ hikāyāt magar
vāqa'e ek se vābasta haiñ talvār ke saath
yuuñ to sañgīnī-o-bālā-qadī achchhī hai magar
ek saa.e kā tasavvur bhī hai dīvār ke saath
ab khalā apnī hī jānib ye safar hai ki yahāñ
fāsle aur baḌhe garmī-e-raftār ke saath
kisī tanhā se 'ajab garmī-e-bāzār rahī
ek amboh-e-tamannā thā ḳharīdār ke saath
din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath
dil dhaDakta hai magar ranj-e-giran-bar ke sath
sainkaDon barson pe phaili hain hikayat magar
waqa'e ek se wabasta hain talwar ke sath
yun to sangini-o-baala-qadi achchhi hai magar
ek sae ka tasawwur bhi hai diwar ke sath
ab khala apni hi jaanib ye safar hai ki yahan
fasle aur baDhe garmi-e-raftar ke sath
kisi tanha se 'ajab garmi-e-bazar rahi
ek amboh-e-tamanna tha KHaridar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.