din hai be-kaif be-gunahon sa
din hai be-kaif be-gunāhoñ sā
nā-kushāda sharāb-gāhoñ sā
kuchh faqīrāna be-niyāzī bhī
kuchh mizāj apnā bādshāhoñ sā
dil dar-e-mai-kadā sā vā sab par
ghar bhī rakhte haiñ ḳhānqāhoñ sā
sab pe khulte nahīñ magar mire sher
haal hai kuchh tirī nigāhoñ sā
aa gayā hai bayān meñ kyūñkar
pech-o-ḳham saarā terī rāhoñ sā
kuchh nafas meñ sharāb kī sī mahak
kuchh havā meñ nasha gunāhoñ sā
ujlī ujlī pahāḌiyoñ par 'zeb'
rañg utrā hai jalva-gāhoñ sā
din hai be-kaif be-gunahon sa
na-kushada sharab-gahon sa
kuchh faqirana be-niyazi bhi
kuchh mizaj apna baadshahon sa
dil dar-e-mai-kada sa wa sab par
ghar bhi rakhte hain KHanqahon sa
sab pe khulte nahin magar mere sher
haal hai kuchh teri nigahon sa
aa gaya hai bayan mein kyunkar
pech-o-KHam sara teri rahon sa
kuchh nafas mein sharab ki si mahak
kuchh hawa mein nasha gunahon sa
ujli ujli pahaDiyon par 'zeb'
rang utra hai jalwa-gahon sa
- Book : zartaab (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.