din hi miliyega ya shab aaiyega
din hī miliyegā yā shab ā.iyegā
banda-ḳhāna meñ phir kab ā.iyegā
lag chalī hī sī hai abhī to ḳhayāl
Dhab chaḌhegā to kuchh Dhabā.iyegā
ek bose pe diin o dil to liyā
aur kitnā mujhe dabā.iyegā
jā chuke ham jab aap se pyāre
kyuuñ na is raah se ab ā.iyegā
ham bhī mullā se kuchh kareñge shurūa
aap kis vaqt maktab ā.iyegā
kar le karnī jo hai ḳharīd-o-faroḳht
pher is paiñTh meñ kab ā.iyegā
ab to 'qā.em' hai kuuch hī kī salāh
yuuñ ghar apnā hai phir jab ā.iyegā
din hi miliyega ya shab aaiyega
banda-KHana mein phir kab aaiyega
lag chali hi si hai abhi to KHayal
Dhab chaDhega to kuchh Dhabaiyega
ek bose pe din o dil to liya
aur kitna mujhe dabaiyega
ja chuke hum jab aap se pyare
kyun na is rah se ab aaiyega
hum bhi mulla se kuchh karenge shurua
aap kis waqt maktab aaiyega
kar le karni jo hai KHarid-o-faroKHt
pher is painTh mein kab aaiyega
ab to 'qaem' hai kuch hi ki salah
yun ghar apna hai phir jab aaiyega
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.