din ho ki ho wo raat abhi kal ki baat hai
din ho ki ho vo raat abhī kal kī baat hai
hotī thī un se baat abhī kal kī baat hai
jhapkī idhar palak vo udhar ho ga.e havā
jo the hamāre saath abhī kal kī baat hai
the eqtidār meñ to zamāna thā apne gird
logoñ kī thī barāt abhī kal kī baat hai
phir aa ga.e bisāt pe mohre piTe hue
khaa.ī thī ham se maat abhī kal kī baat hai
vo gul thā Daal Daal to gulshan meñ juuñ sabā
ham bhī the paat paat abhī kal kī baat hai
jo shaḳhs aaj sañg-e-malāmat kā hai hadaf
thī mohtaram vo zaat abhī kal kī baat hai
'ḳhusrav' the us ke halqa-bagoshoñ meñ aap bhī
hāthoñ meñ Daale haath abhī kal kī baat hai
din ho ki ho wo raat abhi kal ki baat hai
hoti thi un se baat abhi kal ki baat hai
jhapki idhar palak wo udhar ho gae hawa
jo the hamare sath abhi kal ki baat hai
the eqtidar mein to zamana tha apne gird
logon ki thi baraat abhi kal ki baat hai
phir aa gae bisat pe mohre piTe hue
khai thi hum se mat abhi kal ki baat hai
wo gul tha Dal Dal to gulshan mein jun saba
hum bhi the pat pat abhi kal ki baat hai
jo shaKHs aaj sang-e-malamat ka hai hadaf
thi mohtaram wo zat abhi kal ki baat hai
'KHusraw' the us ke halqa-bagoshon mein aap bhi
hathon mein Dale hath abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.