din jawani ke na barbaad guzare hote
din javānī ke na barbād guzāre hote
ai mirī jaan agar aap hamāre hote
lā ke rakh detā tire sāmne duniyā saarī
chāñd hāthoñ pe to qadmoñ meñ sitāre hote
kaun mānegā mohabbat kā payambar maiñ huuñ
ai ḳhudā mujh pe sahīfe to utāre hote
tū mere dukh ko samajhtā jo bichhaḌte tujh se
log aise jo tujhe jaan se pyāre hote
gar vo pūchheñ bhī mirī āḳhirī ḳhvāhish to kahūñ
kyā hī achchhā thā agar aap hamāre hote
ġham nahīñ is kā ki haarī hai ye baazī ham ne
ġham magar ye hai zarā laḌ ke to haare hote
vasl kī rut bhī hameñ raas na aa.ī 'haidar'
kaash itne bhī na gardish meñ sitāre hote
din jawani ke na barbaad guzare hote
ai meri jaan agar aap hamare hote
la ke rakh deta tere samne duniya sari
chand hathon pe to qadmon mein sitare hote
kaun manega mohabbat ka payambar main hun
ai KHuda mujh pe sahife to utare hote
tu mere dukh ko samajhta jo bichhaDte tujh se
log aise jo tujhe jaan se pyare hote
gar wo puchhen bhi meri aaKHiri KHwahish to kahun
kya hi achchha tha agar aap hamare hote
gham nahin is ka ki haari hai ye bazi hum ne
gham magar ye hai zara laD ke to haare hote
wasl ki rut bhi hamein ras na aai 'haidar'
kash itne bhi na gardish mein sitare hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.