din judai ka diya wasl ki shab ke badle
din judā.ī kā diyā vasl kī shab ke badle
lene the ai falak-e-pīr ye kab ke badle
rāhat-e-vasl kisī ko to kisī ko ġham-e-hijr
sabr ḳhāliq ne diyā hai mujhe sab ke badle
itnī sī baat pe bigḌe hī chale jaate ho
le lo tum bosa-e-lab bosa-e-lab ke badle
furqat-e-yār meñ jiine ke uThā.e ilzām
maut aa.ī na mujhe hijr kī shab ke badle
aaj aġhyār 'vafā' se na ulajh baiThe hoñ
taur aate haiñ nazar bazm-e-tarab ke badle
din judai ka diya wasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
rahat-e-wasl kisi ko to kisi ko gham-e-hijr
sabr KHaliq ne diya hai mujhe sab ke badle
itni si baat pe bigDe hi chale jate ho
le lo tum bosa-e-lab bosa-e-lab ke badle
furqat-e-yar mein jine ke uThae ilzam
maut aai na mujhe hijr ki shab ke badle
aaj aghyar 'wafa' se na ulajh baiThe hon
taur aate hain nazar bazm-e-tarab ke badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.