din ka malal sham ki wahshat kahan se laen
din kā malāl shaam kī vahshat kahāñ se laa.eñ
zar-zadgān-e-shahr mohabbat kahāñ se laa.eñ
sarf-e-shumār-e-daulat-e-duniyā hue jo log
vo nā-murād dil kī imārat kahāñ se laa.eñ
saarā lahū to sarf-e-shumār-o-adū huā
shām-e-firāq-e-yār kī ujrat kahāñ se laa.eñ
vo jin ke dil ke saath na dhaḌkā ho koī dil
zinda bhī haiñ to us kī shahādat kahāñ se laa.eñ
do harf apne dil kī gavāhī ke vāste
kahnā bhī chāhte hoñ to jur.at kahāñ se laa.eñ
be-chehra log chehra dikhāne ke shauq meñ!
ā.īne maañg laa.e haiñ hairat kahāñ se laa.eñ
apne hī naqsh-e-pā ke aqīdat-guzār log
kuchh aur dekhne ko basārat kahāñ se laa.eñ
kuchh zargirān-e-shahr ne ahl-e-kamāl kā
chehra banā liyā qad-o-qāmat kahāñ se laa.eñ
ujḌe nahīñ kabhī vo jo TuuTe nahīñ kabhī
vo log harf likhne kī quvvat kahāñ se laa.eñ
jab dar hī band hoñ koī ḳhushbū kahāñ se aa.e
gar lafz likh bhī deñ to halāvat kahāñ se laa.eñ
din ka malal sham ki wahshat kahan se laen
zar-zadgan-e-shahr mohabbat kahan se laen
sarf-e-shumar-e-daulat-e-duniya hue jo log
wo na-murad dil ki imarat kahan se laen
sara lahu to sarf-e-shumar-o-adu hua
sham-e-firaq-e-yar ki ujrat kahan se laen
wo jin ke dil ke sath na dhaDka ho koi dil
zinda bhi hain to us ki shahadat kahan se laen
do harf apne dil ki gawahi ke waste
kahna bhi chahte hon to jurat kahan se laen
be-chehra log chehra dikhane ke shauq mein!
aaine mang lae hain hairat kahan se laen
apne hi naqsh-e-pa ke aqidat-guzar log
kuchh aur dekhne ko basarat kahan se laen
kuchh zargiran-e-shahr ne ahl-e-kamal ka
chehra bana liya qad-o-qamat kahan se laen
ujDe nahin kabhi wo jo TuTe nahin kabhi
wo log harf likhne ki quwwat kahan se laen
jab dar hi band hon koi KHushbu kahan se aae
gar lafz likh bhi den to halawat kahan se laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.