din ka raja hota hai aur raat ki rani hoti hai
din kā raajā hotā hai aur raat kī raanī hotī hai
har ḳhushbū kī apnī apnī ek kahānī hotī hai
pahle ik ik ḳhvāb se ham ta.amīr tamanna karte haiñ
phir dil meñ ta.abīr kī ḳhud hī ḳhaak uḌaa.ī hotī hai
pahlā shagūfa hairat kā duniyā ko dekh ke phūTā thā
us ke baad to jīvan bhar ḳhud par hairānī hotī hai
raat amāvas kī hai sar par aur sannāTā duur tilak
dil dariyā meñ sochtī huuñ kaise tuġhyānī hotī hai
yādoñ ke vīrāne se kuchh raushnī hāsil karte haiñ
un āñkhoñ kī dil meñ jab tasvīr banānī hotī hai
abr-e-naisāñ jab barsā āġhosh sadaf ne phailā.ī
pahlā qatra bārish kā to pahlī nishānī hotī hai
din ka raja hota hai aur raat ki rani hoti hai
har KHushbu ki apni apni ek kahani hoti hai
pahle ek ek KHwab se hum tamir tamanna karte hain
phir dil mein tabir ki KHud hi KHak uDai hoti hai
pahla shagufa hairat ka duniya ko dekh ke phuTa tha
us ke baad to jiwan bhar KHud par hairani hoti hai
raat amawas ki hai sar par aur sannaTa dur tilak
dil dariya mein sochti hun kaise tughyani hoti hai
yaadon ke virane se kuchh raushni hasil karte hain
un aankhon ki dil mein jab taswir banani hoti hai
abr-e-naisan jab barsa aaghosh sadaf ne phailai
pahla qatra barish ka to pahli nishani hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.