din ka samay hai, chauk kuen ka aur bankon ke jal
din kā samay hai, chauk kueñ kā aur bāñkoñ ke jaal
aise meñ naarī tū ne chalī phir tītarī vaalī chaal
jāmunoñ vaale des ke laḌke, TeḌhe un ke taur
pañkh TaToleñ tūtiyoñ ke vo, phir kar har har Daal
vo shaḳhs amar hai, jo pīvegā do chāñdoñ ke nuur
us kī āñkheñ sadā gulābī jo dekhe ik laal
shaam kī ThanDī rut ne bhare haiñ āb-e-hayāt se nain
moñgroñ vaale baaġh ne oḌhī gahrī kāsnī shaal
din ka samay hai, chauk kuen ka aur bankon ke jal
aise mein nari tu ne chali phir titari wali chaal
jamunon wale des ke laDke, TeDhe un ke taur
pankh TaTolen tutiyon ke wo, phir kar har har Dal
wo shaKHs amar hai, jo piwega do chandon ke nur
us ki aankhen sada gulabi jo dekhe ek lal
sham ki ThanDi rut ne bhare hain aab-e-hayat se nain
mongron wale bagh ne oDhi gahri kasni shaal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.