din ka sukun raat ki auqat le gai
din kā sukūn raat kī auqāt le ga.ī
vo ghar se kyā ga.ī ki ḳhushī saath le ga.ī
kuchh abr kā mizāj hī barham thā khet se
rut apne saath gaañv kī barsāt le ga.ī
chiḌiyoñ ko bhī daraḳht pe ruknā nahīñ pasand
pīpal kī dhuup chhāñv kī bārāt le ga.ī
kamre meñ merī mez pe rakkhe the kuchh ḳhutūt
un ko havā-e-shām thī bad-zāt le ga.ī
dil kī azaañ pe raat huā vāqi.a 'shakīl'
merī namāz sab kī munājāt le ga.ī
din ka sukun raat ki auqat le gai
wo ghar se kya gai ki KHushi sath le gai
kuchh abr ka mizaj hi barham tha khet se
rut apne sath ganw ki barsat le gai
chiDiyon ko bhi daraKHt pe rukna nahin pasand
pipal ki dhup chhanw ki baraat le gai
kamre mein meri mez pe rakkhe the kuchh KHutut
un ko hawa-e-sham thi bad-zat le gai
dil ki azan pe raat hua waqia 'shakil'
meri namaz sab ki munajat le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.