din ka suraj bhi andheron ke nagar jaega
din kā sūraj bhī añdheroñ ke nagar jā.egā
chāñd bhī gahre samundar meñ utar jā.egā
ḳhāmushī jism ke zindāñ meñ na jaane paa.e
mere jazbāt kā tūfān Thahar jā.egā
mujh pe tanhā.ī kā ehsās-e-garāñ hai lekin
sochtā huuñ ye zamāna bhī guzar jā.egā
merī āñkhoñ meñ ka.ī rūp-nagar haiñ ābād
mujh ko bedār koī shaḳhs to kar jā.egā
jānib-e-dasht kabhī jo na gayā ho 'aḳhtar'
vo ghane peḌ ke saa.e se bhī Dar jā.egā
din ka suraj bhi andheron ke nagar jaega
chand bhi gahre samundar mein utar jaega
KHamushi jism ke zindan mein na jaane pae
mere jazbaat ka tufan Thahar jaega
mujh pe tanhai ka ehsas-e-garan hai lekin
sochta hun ye zamana bhi guzar jaega
meri aankhon mein kai rup-nagar hain aabaad
mujh ko bedar koi shaKHs to kar jaega
jaanib-e-dasht kabhi jo na gaya ho 'aKHtar'
wo ghane peD ke sae se bhi Dar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.