din ke haare hue jab sham ko ghar jate hain
din ke haare hue jab shaam ko ghar jaate haiñ
zindagī ham tirī āġhosh meñ mar jaate haiñ
koī to baat hai jo ab bhī tirī jānib ham
dil ijāzat nahīñ detā hai magar jaate haiñ
aaj bhī kachche ghaḌoñ par hī bharosa kar ke
'ishq vaale chaḌhe dariyā meñ utar jaate haiñ
ham ġharīboñ ke taraf-dār bahut haiñ lekin
baat insāf kī aa.e to mukar jaate haiñ
kaun phir sach kī himāyat meñ gavāhī degā
ham bhī qātil kī himāyat meñ agar jaate haiñ
aañkh sūraj se milāne kā jinheñ dā'vā hai
ek jugnū bhī chamak jaa.e to Dar jaate haiñ
is adākār zamāne ko suḳhanvar 'tashna'
yaad aate haiñ ki jis vaqt guzar jaate haiñ
din ke haare hue jab sham ko ghar jate hain
zindagi hum teri aaghosh mein mar jate hain
koi to baat hai jo ab bhi teri jaanib hum
dil ijazat nahin deta hai magar jate hain
aaj bhi kachche ghaDon par hi bharosa kar ke
'ishq wale chaDhe dariya mein utar jate hain
hum gharibon ke taraf-dar bahut hain lekin
baat insaf ki aae to mukar jate hain
kaun phir sach ki himayat mein gawahi dega
hum bhi qatil ki himayat mein agar jate hain
aankh suraj se milane ka jinhen da'wa hai
ek jugnu bhi chamak jae to Dar jate hain
is adakar zamane ko suKHanwar 'tashna'
yaad aate hain ki jis waqt guzar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.