din ke lamhon mein mere dil ki sada hai koi
din ke lamhoñ meñ mire dil kī sadā hai koī
shab kī zulmat meñ tabassum kī ziyā hai koī
chaliye achchhā hai mire pīchhe paḌā hai koī
mere baare meñ to kuchh soch rahā hai koī
saañs lene nahīñ detī hai masā.il kī chubhan
zindagānī kī sazā kaaT rahā hai koī
kyā tirī aañkh kī gahrā.ī meñ sho.ale haiñ nihāñ
kis tarah jhiil ke paanī se jalā hai koī
'iltifāt' us kī jabīñ par hai taqaddus kī chamak
jab se kirdār ke sāñche meñ Dhalā hai koī
din ke lamhon mein mere dil ki sada hai koi
shab ki zulmat mein tabassum ki ziya hai koi
chaliye achchha hai mere pichhe paDa hai koi
mere bare mein to kuchh soch raha hai koi
sans lene nahin deti hai masail ki chubhan
zindagani ki saza kaT raha hai koi
kya teri aankh ki gahrai mein shoale hain nihan
kis tarah jhil ke pani se jala hai koi
'iltifat' us ki jabin par hai taqaddus ki chamak
jab se kirdar ke sanche mein Dhala hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.