din ke paikar mein kahin raat mein Dhalte hue rang
din ke paikar mein kahin raat mein Dhalte hue rang
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
din ke paikar meñ kahīñ raat meñ Dhalte hue rañg
jaane rukte haiñ kahāñ niiñd meñ chalte hue rañg
āḳhirī sham.a bujhāte hue apne ghar kī
maiñ dekhe the kisī taaq meñ jalte hue rañg
us parī-zād kī āñkhoñ meñ dikhā.ī deñge
ek hī pal meñ ka.ī rañg badalte hue rañg
sar uThāte haiñ mire Dūbte lahje meñ kahīñ
guftugū karte hue lafz ugalte hue rañg
sub.h-dam ghar se nikalnā hī agar paḌ jaa.e
niiñd se aañkh churātā huuñ masalte hue rañg
haar aayā huuñ kisī ā.ina-ḳhāne meñ unheñ
mere hamrāh nahīñ aaj uchhalte hue rañg
ik badaltī huī duniyā ke makīñ haiñ 'sājid'
ḳhaak par girte hue aur sambhalte hue rañg
din ke paikar mein kahin raat mein Dhalte hue rang
jaane rukte hain kahan nind mein chalte hue rang
aaKHiri shama bujhate hue apne ghar ki
main dekhe the kisi taq mein jalte hue rang
us pari-zad ki aankhon mein dikhai denge
ek hi pal mein kai rang badalte hue rang
sar uThate hain mere Dubte lahje mein kahin
guftugu karte hue lafz ugalte hue rang
subh-dam ghar se nikalna hi agar paD jae
nind se aankh churaata hun masalte hue rang
haar aaya hun kisi aaina-KHane mein unhen
mere hamrah nahin aaj uchhalte hue rang
ek badalti hui duniya ke makin hain 'sajid'
KHak par girte hue aur sambhalte hue rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.