din ke sath utar jati hun
din ke saath utar jaatī huuñ
shaam ke paar Thahar jaatī huuñ
us se bichhaḌne ke us pal ko
sochtī huuñ to mar jaatī huuñ
sahrā jitnī pyaas hai merī
aur ik buuñd se bhar jaatī huuñ
merā haath ye pakḌe rahnā
maiñ ḳhvāboñ meñ Dar jaatī huuñ
miyāñ mohammad maiñ to apnī
gāgar bhar ke ghar jaatī huuñ
apne aap se haath chhuḌā kar
maiñ kin rastoñ par jaatī huuñ
din ke sath utar jati hun
sham ke par Thahar jati hun
us se bichhaDne ke us pal ko
sochti hun to mar jati hun
sahra jitni pyas hai meri
aur ek bund se bhar jati hun
mera hath ye pakDe rahna
main KHwabon mein Dar jati hun
miyan mohammad main to apni
gagar bhar ke ghar jati hun
apne aap se hath chhuDa kar
main kin raston par jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.