din ke sine mein hain KHanjar bhi utare maine
din ke sine mein hain KHanjar bhi utare maine
Meesam Tauseef Zaidi
MORE BYMeesam Tauseef Zaidi
din ke siine meñ haiñ ḳhanjar bhī utāre maiñ ne
raat ko raat pe shab-ḳhūn bhī maare maiñ ne
terī yādoñ ne mujhe raat ko sone na diyā
aur sone na diye raat sitāre maiñ ne
ġhairoñ ke bas meñ nahīñ thā unheñ paspā karnā
ḳhud girā.e haiñ sabhī apne sahāre maiñ ne
fā.ede saare mohabbat ke kiye us kī nazr
apne hisse meñ rakhe saare ḳhasāre maiñ ne
ek muddat se kisī aur meñ khoyā huā huuñ
ḳhud ko dekhā na ḳhad-o-ḳhāl sañvāre maiñ ne
ek qatre meñ sameTā hai samundar to kabhī
haiñ shutur suuī ke naake se guzāre maiñ ne
us ko ik lafz bhī kahne kī zarūrat na paḌī
us kī āñkhoñ ke sabhī samjhe ishāre maiñ ne
maiñ ne zaa.e' nahīñ hone diyā tere ġham ko
is aziyyat se haiñ ash'ār sañvāre maiñ ne
din ke sine mein hain KHanjar bhi utare main ne
raat ko raat pe shab-KHun bhi mare main ne
teri yaadon ne mujhe raat ko sone na diya
aur sone na diye raat sitare main ne
ghairon ke bas mein nahin tha unhen paspa karna
KHud girae hain sabhi apne sahaare main ne
faede sare mohabbat ke kiye us ki nazr
apne hisse mein rakhe sare KHasare main ne
ek muddat se kisi aur mein khoya hua hun
KHud ko dekha na KHad-o-KHal sanware main ne
ek qatre mein sameTa hai samundar to kabhi
hain shutur sui ke nake se guzare main ne
us ko ek lafz bhi kahne ki zarurat na paDi
us ki aankhon ke sabhi samjhe ishaare main ne
main ne zae' nahin hone diya tere gham ko
is aziyyat se hain ash'ar sanware main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.