din kisi surat guzarta hi nahin
din kisī sūrat guzartā hī nahīñ
ret par chehra ubhartā hī nahīñ
jī rahe haiñ nafratoñ ke darmiyāñ
chehra-e-imkāñ nikhartā hī nahīñ
tā-abad jaarī rahe raqs-e-junūñ
ghar kā sannāTā bikhartā hī nahīñ
dekhnā qaht-e-jamāl-e-zindagī
shahr meñ koī sañvartā hī nahīñ
jaane kyā us kī nazar ne kar diyā
dil kisī pahlū Thahartā hī nahīñ
nashsha-e-hastī ke din puure hue
'sāġhar'-e-jāñ hai ki bhartā hī nahīñ
din kisi surat guzarta hi nahin
ret par chehra ubharta hi nahin
ji rahe hain nafraton ke darmiyan
chehra-e-imkan nikharta hi nahin
ta-abad jari rahe raqs-e-junun
ghar ka sannaTa bikharta hi nahin
dekhna qaht-e-jamal-e-zindagi
shahr mein koi sanwarta hi nahin
jaane kya us ki nazar ne kar diya
dil kisi pahlu Thaharta hi nahin
nashsha-e-hasti ke din pure hue
'saghar'-e-jaan hai ki bharta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.