din ko han kah diya to raat nahin
din ko haañ kah diyā to raat nahīñ
aap kī baat ko sabāt nahīñ
hijr meñ din to kaT hī jaatā hai
nahīñ kaTtī to ek raat nahīñ
kyuuñ na aḳhlāq se barī ho kalām
sher likhte haiñ kuchh luġhāt nahīñ
kyuuñ hirāsāñ huuñ maiñ dam-e-mushkil
kyā vo hallāl-e-mushkilāt nahīñ
ek bosa kī arz par 'raunaq'
kah gayā yaar pāñch saat nahīñ
din ko han kah diya to raat nahin
aap ki baat ko sabaat nahin
hijr mein din to kaT hi jata hai
nahin kaTti to ek raat nahin
kyun na aKHlaq se bari ho kalam
sher likhte hain kuchh lughat nahin
kyun hirasan hun main dam-e-mushkil
kya wo hallal-e-mushkilat nahin
ek bosa ki arz par 'raunaq'
kah gaya yar panch sat nahin
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.