din le ke jaun sath use sham kar ke aaun
din le ke jā.ūñ saath use shaam kar ke aa.uuñ
be-kār ke safar meñ koī kaam kar ke aa.uuñ
be-mol kar ga.iiñ mujhe ghar kī zarūrateñ
ab apne-āp ko kahāñ nīlām kar ke aa.uuñ
maiñ apne shor-o-shar se kisī roz bhaag kar
ik aur jism meñ kahīñ ārām kar ke aa.uuñ
kuchh roz mere naam kā hissa rahā hai vo
achchhā nahīñ ki ab use bad-nām kar ke aa.uuñ
'anjum' maiñ bad-duā bhī nahīñ de sakā use
jī chāhtā to thā vahāñ kohrām kar ke aa.uuñ
din le ke jaun sath use sham kar ke aaun
be-kar ke safar mein koi kaam kar ke aaun
be-mol kar gain mujhe ghar ki zaruraten
ab apne-ap ko kahan nilam kar ke aaun
main apne shor-o-shar se kisi roz bhag kar
ek aur jism mein kahin aaram kar ke aaun
kuchh roz mere nam ka hissa raha hai wo
achchha nahin ki ab use bad-nam kar ke aaun
'anjum' main bad-dua bhi nahin de saka use
ji chahta to tha wahan kohram kar ke aaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.