din mahine sal sab ke sab lage bimar se
din mahīne saal sab ke sab lage bīmār se
jhāñktī haiñ haDDiyāñ ab vaqt kī dīvār se
ab siyāhī kī ghanī shāḳhoñ kā mātam kījiye
patiyāñ jhaḌne lagī haiñ raat ke ashjār se
lag ga.ī hai chup sī ab zehn-e-hunar ḳhāmosh hai
rābta jis din se TuuTā hai lab-e-iz.hār se
dekhte haiñ mujh ko nangī dhuup sharminda huī
sāya-e-dīvār ne kyā kah diyā dīvār se
bhuul baiThā huuñ sadāoñ ke samundar ko magar
vo sadā jo ab bhī aatī hai samundar paar se
is safar meñ bhī mujhe ai 'shām' māyūsī milī
ḳhvāhisheñ kaT kar girīñ mahrūmiyoñ kī dhaar se
din mahine sal sab ke sab lage bimar se
jhankti hain haDDiyan ab waqt ki diwar se
ab siyahi ki ghani shaKHon ka matam kijiye
patiyan jhaDne lagi hain raat ke ashjar se
lag gai hai chup si ab zehn-e-hunar KHamosh hai
rabta jis din se TuTa hai lab-e-izhaar se
dekhte hain mujh ko nangi dhup sharminda hui
saya-e-diwar ne kya kah diya diwar se
bhul baiTha hun sadaon ke samundar ko magar
wo sada jo ab bhi aati hai samundar par se
is safar mein bhi mujhe ai 'sham' mayusi mili
KHwahishen kaT kar girin mahrumiyon ki dhaar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.