din mein ashkon ke nagin dasht mein haare kitne
din mein ashkon ke nagin dasht mein haare kitne
Shahida Dilawar Shah
MORE BYShahida Dilawar Shah
din meñ ashkoñ ke nagīñ dasht meñ haare kitne
raat hamrāh liye aa ga.ī taare kitne
ḳhvāb āñkhoñ ke sulā aa.e gharoñ ke andar
log saḌkoñ pe liye aa ga.e na.are kitne
ḳhud ko nīlām kiyā misr ke bāzāroñ meñ
qarz yūsuf ne mohabbat ke utāre kitne
sab hī masrūf-e-ibādat haiñ gine kaun yahāñ
masjideñ shahr meñ kitnī haiñ manāre kitne
kyā koī dafn se pahle ye batā.egā hameñ
haiñ khaḌe log janāze meñ hamāre kitne
lamha tasvīr huā tujh se judā hote samay
yuuñ to bahte hī rahe vaqt ke dhāre kitne
uTh nahīñ paa.e zarā sat.h-e-zamīñ se uupar
le ke phirte haiñ ta.alluq ke ġhubāre kitne
din mein ashkon ke nagin dasht mein haare kitne
raat hamrah liye aa gai tare kitne
KHwab aankhon ke sula aae gharon ke andar
log saDkon pe liye aa gae nare kitne
KHud ko nilam kiya misr ke bazaron mein
qarz yusuf ne mohabbat ke utare kitne
sab hi masruf-e-ibaadat hain gine kaun yahan
masjiden shahr mein kitni hain manare kitne
kya koi dafn se pahle ye bataega hamein
hain khaDe log janaze mein hamare kitne
lamha taswir hua tujh se juda hote samay
yun to bahte hi rahe waqt ke dhaare kitne
uTh nahin pae zara sath-e-zamin se upar
le ke phirte hain talluq ke ghubare kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.