din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon
din meñ charāġh-e-shām jalāyā thā un dinoñ
ik shaḳhs mere shahr meñ aayā thā un dinoñ
merā bhī haal un dinoñ kuchh thā ajiib sā
us kā bhī dil kisī ne dukhāyā thā un dinoñ
sikke kisī kī yaad ke āñchal meñ bhar liye
chhan-chhan unheñ bhī ḳhuub hilāyā thā un dinoñ
kab tak rahegī bebasī arbāb-e-iḳhtiyār
ham ne bhī ye savāl uThāyā thā un dinoñ
āsāñ nahīñ ye rāste dushvār haiñ bahut
ai ishq tujh ko ham ne batāyā thā un dinoñ
apnī ġhazal se ik taraf chup-chāp rakh liyā
vo sher bas use hī sunāyā thā un dinoñ
kuchh log pūchhte rahe ye chup sī kyuuñ lagī
mujh par tumhārī yaad kā saayā thā un dinoñ
din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon
ek shaKHs mere shahr mein aaya tha un dinon
mera bhi haal un dinon kuchh tha ajib sa
us ka bhi dil kisi ne dukhaya tha un dinon
sikke kisi ki yaad ke aanchal mein bhar liye
chhan-chhan unhen bhi KHub hilaya tha un dinon
kab tak rahegi bebasi arbab-e-iKHtiyar
hum ne bhi ye sawal uThaya tha un dinon
aasan nahin ye raste dushwar hain bahut
ai ishq tujh ko hum ne bataya tha un dinon
apni ghazal se ek taraf chup-chap rakh liya
wo sher bas use hi sunaya tha un dinon
kuchh log puchhte rahe ye chup si kyun lagi
mujh par tumhaari yaad ka saya tha un dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.