din niklega aur aise hi raaten hongi
din niklegā aur aise hī rāteñ hoñgī
ya.anī bas tasvīr se terī bāteñ hoñgī
phir terī yādoñ kā mausam chhā jā.egā
dekhnā phir in āñkhoñ se barsāteñ hoñgī
bāhar merī shohrat ke charche bhī hoñge
andar andar mere saath hī ghāteñ hoñgī
duniyā vaale tum ko pesh kareñge gul bhī
mere paas to ashkoñ kī sauġhāteñ hoñgī
vo to shah haiñ vo to sab kuchh ḳharīd leñge
soch rahī huuñ un kī phir kyoñ māteñ hoñgī
din niklega aur aise hi raaten hongi
yani bas taswir se teri baaten hongi
phir teri yaadon ka mausam chha jaega
dekhna phir in aankhon se barsaten hongi
bahar meri shohrat ke charche bhi honge
andar andar mere sath hi ghaten hongi
duniya wale tum ko pesh karenge gul bhi
mere pas to ashkon ki saughaten hongi
wo to shah hain wo to sab kuchh KHarid lenge
soch rahi hun un ki phir kyon maten hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.