din raat ki aafat ke siwa kuchh nahin aata
din raat ki aafat ke siwa kuchh nahin aata
Shyam Vashishtha Shahid
MORE BYShyam Vashishtha Shahid
din raat kī aafat ke sivā kuchh nahīñ aatā
chāhat meñ musībat ke sivā kuchh nahīñ aatā
lo chaa.e meñ bhī chaa.e kī pattī nahīñ Daalī
tum ko to mohabbat ke sivā kuchh nahīñ aatā
duniyā kī har ik maañ meñ kamī ye hai ki us ko
bachchoñ kī hifāzat ke sivā kuchh nahīñ aatā
sapnoñ meñ bhī sapnoñ kā jahāñ DhūñDhne vaalo
sapnoñ meñ haqīqat ke sivā kuchh nahīñ aatā
dushman mire yāroñ se sabaq siikh rahe haiñ
yāroñ ko 'adāvat ke sivā kuchh nahīñ aatā
nekī bhī kamā.ī hai bhalā.ī bhī milī hai
par kaam to daulat ke sivā kuchh nahīñ aatā
is daur meñ apnā yā parāyā nahīñ koī
ab yaad zarūrat ke sivā kuchh nahīñ aatā
ḳhud apne kahe par vo 'amal kyoñ nahīñ karte
kyā un ko nasīhat ke sivā kuchh nahīñ aatā
din raat ki aafat ke siwa kuchh nahin aata
chahat mein musibat ke siwa kuchh nahin aata
lo chae mein bhi chae ki patti nahin Dali
tum ko to mohabbat ke siwa kuchh nahin aata
duniya ki har ek man mein kami ye hai ki us ko
bachchon ki hifazat ke siwa kuchh nahin aata
sapnon mein bhi sapnon ka jahan DhunDhne walo
sapnon mein haqiqat ke siwa kuchh nahin aata
dushman mere yaron se sabaq sikh rahe hain
yaron ko 'adawat ke siwa kuchh nahin aata
neki bhi kamai hai bhalai bhi mili hai
par kaam to daulat ke siwa kuchh nahin aata
is daur mein apna ya paraya nahin koi
ab yaad zarurat ke siwa kuchh nahin aata
KHud apne kahe par wo 'amal kyon nahin karte
kya un ko nasihat ke siwa kuchh nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.