din raha yaad to shab yaad nahin
din rahā yaad to shab yaad nahīñ
kuchh to bhūlā hai jo ab yaad nahīñ
tum se nārāz hue the kaise
ab to is kā bhī sabab yaad nahīñ
shoḳh-o-chanchal sabhī sāthī apne
kho ga.e raah meñ sab yaad nahīñ
sāl-hā-sāl tujhe yaad kiyā
kyoñ kiyā aisā ġhazab yaad nahīñ
tere atvār mujhe kyā ma.alūm
ham ko jiine kā bhī Dhab yaad nahīñ
ġhair ko kyā bhalā chāhegī 'sadaf'
us ko to apnā bhī rab yaad nahīñ
din raha yaad to shab yaad nahin
kuchh to bhula hai jo ab yaad nahin
tum se naraaz hue the kaise
ab to is ka bhi sabab yaad nahin
shoKH-o-chanchal sabhi sathi apne
kho gae rah mein sab yaad nahin
sal-ha-sal tujhe yaad kiya
kyon kiya aisa ghazab yaad nahin
tere atwar mujhe kya malum
hum ko jine ka bhi Dhab yaad nahin
ghair ko kya bhala chahegi 'sadaf'
us ko to apna bhi rab yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.