din to ai dost kisi taur guzar jata hai
din to ai dost kisī taur guzar jaatā hai
shaam aatī hai to dil dard se bhar jaatā hai
har tarah se mujhe pahchān rahī hai duniyā
aib jaatā hai kahīñ merā hunar jaatā hai
sab bure log nahīñ is meñ bhale log bhī haiñ
jis ko duniyā meñ jo karnā hai vo kar jaatā hai
jab kisī vaqt nashe meñ ho tirā dīvāna
tere kūche meñ zarā der Thahar jaatā hai
zehn meñ jab kisī manzil kā tasavvur hī nahīñ
kis taraf mujh ko liye zauq-e-safar jaatā hai
shahr kī āb-o-havā meñ koī jiitā hai 'kañval'
aur koī dasht-e-junūñ meñ kahīñ mar jaatā hai
din to ai dost kisi taur guzar jata hai
sham aati hai to dil dard se bhar jata hai
har tarah se mujhe pahchan rahi hai duniya
aib jata hai kahin mera hunar jata hai
sab bure log nahin is mein bhale log bhi hain
jis ko duniya mein jo karna hai wo kar jata hai
jab kisi waqt nashe mein ho tera diwana
tere kuche mein zara der Thahar jata hai
zehn mein jab kisi manzil ka tasawwur hi nahin
kis taraf mujh ko liye zauq-e-safar jata hai
shahr ki aab-o-hawa mein koi jita hai 'kanwal'
aur koi dasht-e-junun mein kahin mar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.