din tumhaara hai raat hai apni
din tumhārā hai raat hai apnī
ab to itnī sī baat hai apnī
ek zarre se bhī hai jo kamtar
hastī-e-be-sabāt hai apnī
jiit duniyā jise samajhtī hai
vahī dar-asl maat hai apnī
kuchh na gar fā.eda ho duniyā ko
zindagī vāhiyāt hai apnī
kuchh adab aur ilm kī ḳhidmat
kul yahī kā.enāt hai apnī
nā-murādī sī nā-murādī hai
dushmanī shash-jihāt hai apnī
din tumhaara hai raat hai apni
ab to itni si baat hai apni
ek zarre se bhi hai jo kamtar
hasti-e-be-sabaat hai apni
jit duniya jise samajhti hai
wahi dar-asl mat hai apni
kuchh na gar faeda ho duniya ko
zindagi wahiyat hai apni
kuchh adab aur ilm ki KHidmat
kul yahi kaenat hai apni
na-muradi si na-muradi hai
dushmani shash-jihat hai apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.