Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din utarte hi nai sham pahan leta hun

Faiz Khalilabadi

din utarte hi nai sham pahan leta hun

Faiz Khalilabadi

MORE BYFaiz Khalilabadi

    din utarte na.ī shaam pahan letā huuñ

    maiñ tirī yādoñ ehrām pahan letā huuñ

    mere ghar vaale bhī taklīf meñ aa jaate haiñ

    maiñ jo kuchh der ko ārām pahan letā huuñ

    raat ko oḌh ke so jaatā huuñ din-bhar thakan

    sub.h ko phir se ka.ī kaam pahan letā huuñ

    jab bhī pardes meñ yaad aatā hai ghar naqsha

    maiñ tasavvur meñ dar-o-bām pahan letā huuñ

    ek chāñdī añgūThī ke havāle se faqat

    apnī uñglī meñ tirā naam pahan letā huuñ

    'faiz' yuuñ rakhtā huuñ maiñ us mohabbat bharam

    us ke hisse ke bhī ilzām pahan letā huuñ

    din utarte hi nai sham pahan leta hun

    main teri yaadon ka ehram pahan leta hun

    mere ghar wale bhi taklif mein aa jate hain

    main jo kuchh der ko aaram pahan leta hun

    raat ko oDh ke so jata hun din-bhar ki thakan

    subh ko phir se kai kaam pahan leta hun

    jab bhi pardes mein yaad aata hai ghar ka naqsha

    main tasawwur mein dar-o-baam pahan leta hun

    ek chandi ki anguThi ke hawale se faqat

    apni ungli mein tera nam pahan leta hun

    'faiz' yun rakhta hun main us ki mohabbat ka bharam

    us ke hisse ke bhi ilzam pahan leta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now