dini hain sab koi raati nahin hai
dinī haiñ sab koī raatī nahīñ hai
añdheroñ kā koī sāthī nahīñ hai
to kyā be-ḳhvāb hī rah jā.ūñgā maiñ
mujhe to niiñd hī aatī nahīñ hai
ki har bīmār un āñkhoñ se davā paa.e
shifā-ḳhāna ye ḳhairātī nahīñ hai
lagā hai kitnā sarmāya zabāñ kā
ye kār-e-shā.irī zaatī nahīñ hai
tarāshī jā chukī ummīd kī lau
diyā jaltā huā baatī nahīñ hai
sadā jaatī to hai us kī galī meñ
vahāñ se le ke kuchh aatī nahīñ hai
akele paḌ ga.e ham kārvāñ meñ
ki ab ke vo mirā sāthī nahīñ hai
lage haiñ saare sāzinde badan ke
magar ye ruuh naġhmātī nahīñ hai
rahegā be-badan hī 'farhat-ehsās'
havā par koī deh aatī nahīñ hai
dini hain sab koi raati nahin hai
andheron ka koi sathi nahin hai
to kya be-KHwab hi rah jaunga main
mujhe to nind hi aati nahin hai
ki har bimar un aankhon se dawa pae
shifa-KHana ye KHairaati nahin hai
laga hai kitna sarmaya zaban ka
ye kar-e-shairi zati nahin hai
tarashi ja chuki ummid ki lau
diya jalta hua baati nahin hai
sada jati to hai us ki gali mein
wahan se le ke kuchh aati nahin hai
akele paD gae hum karwan mein
ki ab ke wo mera sathi nahin hai
lage hain sare sazinde badan ke
magar ye ruh naghmati nahin hai
rahega be-badan hi 'farhat-ehsas'
hawa par koi deh aati nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.