dinner pe aaj koi us sa aashna bhi na tha
dinner pe aaj koī us sā āshnā bhī na thā
vo is se pahle agarche kahīñ milā bhī na thā
usī ne aaj batāyā mujhe ki kaun huuñ maiñ
vo jis ko aaj se pahle maiñ jāntā bhī na thā
kahāñ huuñ kyuuñ huuñ har ik saañs pūchhtī hai mujhe
kabhī maiñ apne savāloñ meñ yuuñ ghirā bhī na thā
kisī kī mez pe hī rah ga.ī na jaane kyuuñ
vo Diary ki abhī jis pe kuchh likhā bhī na thā
tamām shahr sadāoñ ke ik bhañvar meñ hai
mirā makān kabhī aise Doltā bhī na thā
mujhe na jaane vo siine se kyuuñ lagā.e phirā
maiñ koī gul bhī na thā mauja-e-havā bhī na thā
vo jis kī dhun meñ ham itvār ko bhī ghar na rahe
milā to apnī taraf 'shām' dekhtā bhī na thā
dinner pe aaj koi us sa aashna bhi na tha
wo is se pahle agarche kahin mila bhi na tha
usi ne aaj bataya mujhe ki kaun hun main
wo jis ko aaj se pahle main jaanta bhi na tha
kahan hun kyun hun har ek sans puchhti hai mujhe
kabhi main apne sawalon mein yun ghira bhi na tha
kisi ki mez pe hi rah gai na jaane kyun
wo Diary ki abhi jis pe kuchh likha bhi na tha
tamam shahr sadaon ke ek bhanwar mein hai
mera makan kabhi aise Dolta bhi na tha
mujhe na jaane wo sine se kyun lagae phira
main koi gul bhi na tha mauja-e-hawa bhi na tha
wo jis ki dhun mein hum itwar ko bhi ghar na rahe
mila to apni taraf 'sham' dekhta bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.