Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dinon se kaise shabon mein Dhalte hain din hamare

Shamshir haidar

dinon se kaise shabon mein Dhalte hain din hamare

Shamshir haidar

MORE BYShamshir haidar

    dinoñ se kaise shaboñ meñ Dhalte haiñ din hamāre

    ye ham badalte haiñ badalte haiñ din hamāre

    jo kaT gayā hai safar abhī tak nahīñ hamārā

    ḳhabar nahīñ aur kitnā chalte haiñ din hamāre

    ye kis ke jaane pe bain kartī haiñ chāñd-rāteñ

    ye kis ke jaane pe haath malte haiñ din hamāre

    dinon se kaise shabon mein Dhalte hain din hamare

    ye hum badalte hain ya badalte hain din hamare

    jo kaT gaya hai safar abhi tak nahin hamara

    KHabar nahin aur kitna chalte hain din hamare

    ye kis ke jaane pe bain karti hain chand-raaten

    ye kis ke jaane pe hath malte hain din hamare

    Source :
    • Book : Paniyon Se Alag (Pg. 22)
    • Author : Shamsheer Haider
    • Publication : Rumail House of Publication (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now