diwana mujh sa kab jita hai kyun tadbir karte hain
diwana mujh sa kab jita hai kyun tadbir karte hain
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
divāna mujh sā kab jiitā hai kyuuñ tadbīr karte haiñ
koī din chalne-phirne deñ abas zanjīr karte haiñ
havā-e-garm ke lagne se kab patthar pighaltā hai
ye naale in butoñ ke dil meñ kab tāsīr karte haiñ
ḳhudā kī bandagī kahiye use yā ishq-e-māshūqī
ye nisbat ek hai sau sau tarah ta.abīr karte haiñ
divāne haiñ siyāne chhoḌ do tum naqsh ko un ke
parā.e ghar kī pariyoñ ke ta.iiñ tasḳhīr karte haiñ
nigah karne meñ un ke kaam hotā hai tamām us kā
'yaqīñ' ke haq meñ ye ḳhūbāñ bahut taqsīr karte haiñ
diwana mujh sa kab jita hai kyun tadbir karte hain
koi din chalne-phirne den abas zanjir karte hain
hawa-e-garm ke lagne se kab patthar pighalta hai
ye nale in buton ke dil mein kab tasir karte hain
KHuda ki bandagi kahiye use ya ishq-e-mashuqi
ye nisbat ek hai sau sau tarah tabir karte hain
diwane hain siyane chhoD do tum naqsh ko un ke
parae ghar ki pariyon ke tain tasKHir karte hain
nigah karne mein un ke kaam hota hai tamam us ka
'yaqin' ke haq mein ye KHuban bahut taqsir karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.