diya apni rawish par kya gaya hai
diyā apnī ravish par kyā gayā hai
havā kā haath bhī ghabrā gayā hai
tumhāre phuul mujh tak aa ga.e haiñ
magar yuuñ bhejnā chauñkā gayā hai
hamāre ḳhvāb be-parda hue haiñ
hamārī aañkh meñ jhāñkā gayā hai
taḌap kar āñganoñ meñ dhuup bikhrī
galā bargad kā phir kaaTā gayā hai
saḌak par shor aur bhagdaḌ machā kar
mirī āvāz ko kuchlā gayā hai
kisī ke haath kaaTe jā rahe haiñ
kisī ke kaan se jhumkā gayā hai
diye kī bhuuk jañgal khā ga.ī hai
añdherā duur tak rotā gayā hai
tumhārā titliyoñ par vaar karnā
hamāre phuul bhī zaḳhma gayā hai
diya apni rawish par kya gaya hai
hawa ka hath bhi ghabra gaya hai
tumhaare phul mujh tak aa gae hain
magar yun bhejna chaunka gaya hai
hamare KHwab be-parda hue hain
hamari aankh mein jhanka gaya hai
taDap kar aanganon mein dhup bikhri
gala bargad ka phir kaTa gaya hai
saDak par shor aur bhagdaD macha kar
meri aawaz ko kuchla gaya hai
kisi ke hath kaTe ja rahe hain
kisi ke kan se jhumka gaya hai
diye ki bhuk jangal kha gai hai
andhera dur tak rota gaya hai
tumhaara titliyon par war karna
hamare phul bhi zaKHma gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.