diya hai dil tumhein apna samajh kar
diyā hai dil tumheñ apnā samajh kar
amānat hai ise rakhnā samajh kar
chaḌhā.ī teġh-e-abrū kyā samajh kar
ham aa.e qatl kī iimā samajh kar
na bal khaa.e kahīñ dast-e-nazākat
uThā.iye zarā pardā samajh kar
sharāb-e-shauq se sāqī-e-mad.hosh
hamāre zaḳhm ko bharnā samajh kar
mujhe mehrāb-e-abrū bas hai terī
karūñ sajda tujhe ka.aba samajh kar
nahīñ matlab hameñ dair-o-haram se
jahāñ jaate haiñ ghar terā samajh kar
chaman meñ chahchahā ab shāḳh-e-gul par
tū karnā bulbul-e-shaidā samajh kar
har ik kūche meñ mere vāste tifl
liye patthar haiñ dīvānā samajh kar
mah-e-gardūñ pe shab ko chāñdnī meñ
nazar kartā huuñ ruḳh terā samajh kar
gale par qātil-e-be-rahm mere
chalāyā tū ne 'ḳhanjar' kyā samajh kar
diya hai dil tumhein apna samajh kar
amanat hai ise rakhna samajh kar
chaDhai tegh-e-abru kya samajh kar
hum aae qatl ki ima samajh kar
na bal khae kahin dast-e-nazakat
uThaiye zara parda samajh kar
sharab-e-shauq se saqi-e-madhosh
hamare zaKHm ko bharna samajh kar
mujhe mehrab-e-abru bas hai teri
karun sajda tujhe kaba samajh kar
nahin matlab hamein dair-o-haram se
jahan jate hain ghar tera samajh kar
chaman mein chahchaha ab shaKH-e-gul par
tu karna bulbul-e-shaida samajh kar
har ek kuche mein mere waste tifl
liye patthar hain diwana samajh kar
mah-e-gardun pe shab ko chandni mein
nazar karta hun ruKH tera samajh kar
gale par qatil-e-be-rahm mere
chalaya tu ne 'KHanjar' kya samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.