diya hum wafa ka jala kar chalenge
diyā ham vafā kā jalā kar chaleñge
jahāñ ik nayā ham basā kar chaleñge
bure bhī nahīñ kuchh ḳhatā bhī nahīñ hai
diloñ meñ sabhī ke samā kar chaleñge
jahāñ par hameñ jo judā kar rahe haiñ
vahāñ ham sabhī kā bhalā kar chaleñge
ḳhatā par mirī kyoñ nazar hai sabhī kī
yahīñ par sazā ham adā kar chaleñge
duā ham kareñge salāmat raheñ sab
vafā kī adā ham nibhā kar chaleñge
diya hum wafa ka jala kar chalenge
jahan ek naya hum basa kar chalenge
bure bhi nahin kuchh KHata bhi nahin hai
dilon mein sabhi ke sama kar chalenge
jahan par hamein jo juda kar rahe hain
wahan hum sabhi ka bhala kar chalenge
KHata par meri kyon nazar hai sabhi ki
yahin par saza hum ada kar chalenge
dua hum karenge salamat rahen sab
wafa ki ada hum nibha kar chalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.