diya hun main lekin hawa chahta hun
diyā huuñ maiñ lekin havā chāhtā huuñ
ki ik bevafā se vafā chāhtā huuñ
jo terī nigāhoñ ke jaisā nasha de
maiñ aisā koī mai-kadā chāhtā huuñ
tumhārī mohabbat ke sadqe meñ jaanā
maiñ dil ke maraz kī davā chāhtā huuñ
vo jis ke sabab zindagī zindagī ho
maiñ aisā koī rahnumā chāhtā huuñ
shahīd-e-mohabbat kā unvān le kar
rah-e-ishq meñ martaba chāhtā huuñ
diya hun main lekin hawa chahta hun
ki ek bewafa se wafa chahta hun
jo teri nigahon ke jaisa nasha de
main aisa koi mai-kada chahta hun
tumhaari mohabbat ke sadqe mein jaana
main dil ke maraz ki dawa chahta hun
wo jis ke sabab zindagi zindagi ho
main aisa koi rahnuma chahta hun
shahid-e-mohabbat ka unwan le kar
rah-e-ishq mein martaba chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.