diya jab jam-e-mai saqi ne bhar ke
diyā jab jām-e-mai saaqī ne bhar ke
to pachhtā.e bahut ham tauba kar ke
lipaT jaao gale se vaqt-e-āḳhir
ki phir jiitā nahīñ hai koī mar ke
vahāñ se aa ke us kī bhī phirī aañkh
vo tevar hī nahīñ ab nāma-bar ke
koī jab pūchhtā hai haal dil kā
to ro dete haiñ ham ik aah bhar ke
guloñ ke ishq meñ de jaan bulbul
are ye hausle ek musht par ke
ḳhudā mahfūz rakkhe un kī zid se
jo kahte haiñ dikhā dete haiñ kar ke
raheñge ḳhaak meñ ham ko milā kar
tire andāz is nīchī nazar ke
dimāġh apnā na kyuuñ kar arsh par ho
ye samjho to gadā haiñ kis ke dar ke
huī hai qaid se bad-tar rihā.ī
kiyā āzād us ne par katar ke
uThe jaate haiñ lo duniyā se ham aaj
miTe jaate haiñ jhagḌe umr bhar ke
'hafīz' ab naala o fariyād chhoḌo
koī din yuuñ bhī dekho sabr kar ke
diya jab jam-e-mai saqi ne bhar ke
to pachhtae bahut hum tauba kar ke
lipaT jao gale se waqt-e-aKHir
ki phir jita nahin hai koi mar ke
wahan se aa ke us ki bhi phiri aankh
wo tewar hi nahin ab nama-bar ke
koi jab puchhta hai haal dil ka
to ro dete hain hum ek aah bhar ke
gulon ke ishq mein de jaan bulbul
are ye hausle ek musht par ke
KHuda mahfuz rakkhe un ki zid se
jo kahte hain dikha dete hain kar ke
rahenge KHak mein hum ko mila kar
tere andaz is nichi nazar ke
dimagh apna na kyun kar arsh par ho
ye samjho to gada hain kis ke dar ke
hui hai qaid se bad-tar rihai
kiya aazad us ne par katar ke
uThe jate hain lo duniya se hum aaj
miTe jate hain jhagDe umr bhar ke
'hafiz' ab nala o fariyaad chhoDo
koi din yun bhi dekho sabr kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.