diya jalaegi tu aur main bujhahunga
diyā jalā.egī tū aur maiñ bujhāhuñgā
mujhe na chaah maiñ nafrat se pesh ā.ūñgā
maiñ saḳht-dil hī rahūñgā yahī ri.āyat hai
maiñ baar baar tirā dil nahīñ dukhā.ūñgā
mujhe patā nahīñ kyā ho gayā hai kuchh din se
patā chalā bhī to tujh ko nahīñ batā.ūñgā
maiñ chāhtā huuñ mirī baat kā asar kam ho
ziyāda der magar jhuuT kah na pā.ūñgā
hañsī kī baat hai apnī hī aur vo ye ki
mirā ḳhayāl thā maiñ tujh ko bhuul jā.ūñgā
diya jalaegi tu aur main bujhahunga
mujhe na chah main nafrat se pesh aaunga
main saKHt-dil hi rahunga yahi riayat hai
main bar bar tera dil nahin dukhaunga
mujhe pata nahin kya ho gaya hai kuchh din se
pata chala bhi to tujh ko nahin bataunga
main chahta hun meri baat ka asar kam ho
ziyaada der magar jhuT kah na paunga
hansi ki baat hai apni hi aur wo ye ki
mera KHayal tha main tujh ko bhul jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.