diya jalaya donon ne
diyā jalāyā donoñ ne
dekhā saayā donoñ ne
likh kar saada kāġhaz par
naam batāyā donoñ ne
āñkhoñ aur charāġhoñ ko
saath jagāyā donoñ ne
donoñ mahak se bojhal the
phuul khilāyā donoñ ne
ḳhāmoshī kī buuñd girī
harf banāyā donoñ ne
kamre meñ vo donoñ the
shor machāyā donoñ ne
dhuup kī ujlī chādar meñ
bāñdhā saayā donoñ ne
diya jalaya donon ne
dekha saya donon ne
likh kar sada kaghaz par
nam bataya donon ne
aankhon aur charaghon ko
sath jagaya donon ne
donon mahak se bojhal the
phul khilaya donon ne
KHamoshi ki bund giri
harf banaya donon ne
kamre mein wo donon the
shor machaya donon ne
dhup ki ujli chadar mein
bandha saya donon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.