diya mauqa nahin KHud ko na un zaKHmon ko bharne ka
diyā mauqa nahīñ ḳhud ko na un zaḳhmoñ ko bharne kā
hunar aaya nahīñ mujh ko vafā kar ke badalne kā
nikal kar aañkh se ye ashk jab dil tak pahuñchte haiñ
tabhī matlab samajh aatā namak zaḳhmoñ pe paḌne kā
baḌī jaldī utārā aaj us ne qabr meñ mujh ko
kiyā kartā thā jo va.ada hamesha saath chalne kā
nayā kandhā vo khojegā shab-e-mātam guzarte hī
dikhāvā phir karegā vo mohabbat meñ bikharne kā
gulāboñ se sajā hogā parāyā haath phir koī
bhalā vo kab talak yuuñ ġham karegā mere marne kā
diya mauqa nahin KHud ko na un zaKHmon ko bharne ka
hunar aaya nahin mujh ko wafa kar ke badalne ka
nikal kar aankh se ye ashk jab dil tak pahunchte hain
tabhi matlab samajh aata namak zaKHmon pe paDne ka
baDi jaldi utara aaj us ne qabr mein mujh ko
kiya karta tha jo wada hamesha sath chalne ka
naya kandha wo khojega shab-e-matam guzarte hi
dikhawa phir karega wo mohabbat mein bikharne ka
gulabon se saja hoga paraya hath phir koi
bhala wo kab talak yun gham karega mere marne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.