diya munDer pe dil ki jala rahi hun main
diyā muñDer pe dil kī jalā rahī huuñ maiñ
havā-mizāj ko vāpas bulā rahī huuñ maiñ
mujhe kisī ke bhī jaane se dukh nahīñ hotā
na jaane kis liye aañsū bahā rahī huuñ maiñ
ye terī marzī ki aa.e na aa.e vāpas tū
nizām-e-dil ko to dil se chalā rahī huuñ maiñ
isī charāġh se har samt raushnī hogī
jalā hai dil to diye sab bujhā rahī huuñ maiñ
jo haath aaj mujhe thāmte nahīñ haiñ 'shabī'
ga.e dinoñ meñ to un kī duā rahī huuñ maiñ
diya munDer pe dil ki jala rahi hun main
hawa-mizaj ko wapas bula rahi hun main
mujhe kisi ke bhi jaane se dukh nahin hota
na jaane kis liye aansu baha rahi hun main
ye teri marzi ki aae na aae wapas tu
nizam-e-dil ko to dil se chala rahi hun main
isi charagh se har samt raushni hogi
jala hai dil to diye sab bujha rahi hun main
jo hath aaj mujhe thamte nahin hain 'shabi'
gae dinon mein to un ki dua rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.