diya rashk aashufta-haalon ne mara
diyā rashk āshufta-hāloñ ne maarā
tire husn par marne vāloñ ne maarā
kabhī dil kā mātam kabhī aarzū kā
mujhe nit-na.e marne vāloñ ne maarā
huā ḳhuun siine meñ dil hasratoñ se
tamannā.eñ ban kar ḳhayāloñ ne maarā
tirā hī ḳhayāl un ko āThoñ pahar hai
mujhe mere hī ham-ḳhayāloñ ne maarā
vahī hai agar ai vafā nazm-e-hastī
to kyā mārka marne vāloñ ne maarā
diya rashk aashufta-haalon ne mara
tere husn par marne walon ne mara
kabhi dil ka matam kabhi aarzu ka
mujhe nit-nae marne walon ne mara
hua KHun sine mein dil hasraton se
tamannaen ban kar KHayalon ne mara
tera hi KHayal un ko aaThon pahar hai
mujhe mere hi ham-KHayalon ne mara
wahi hai agar ai wafa nazm-e-hasti
to kya marka marne walon ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.