diya raushan hai lekin tirgi ka raqs jari hai
diyā raushan hai lekin tīrgī kā raqs jaarī hai
ḳhirad hairat-zada hai bebasī kā raqs jaarī hai
tasavvur ā.īna-ḳhāna hai har tasvīr afsurda
bikhartī kirchiyoñ meñ zindagī kā raqs jaarī hai
musaḳhḳhar kar liyā insāñ ne ujlat meñ sitāroñ ko
mohabbat mar rahī hai āgahī kā raqs jaarī hai
jo kahnā thā nahīñ kahte jo kahte haiñ vo be-ma.anī
kahī hai an-kahī aur an-kahī kā raqs jaarī hai
duā-e-nīm-shab jugnū mirī āñkhoñ meñ kyā chamke
qatār-andar-qatār ik raushnī kā raqs jaarī hai
jo mere lafz tum ko vajd meñ mahsūs hote haiñ
mire andar mirī dīvāngī kā raqs jaarī hai
safī' chāroñ taraf yādoñ ke lashkar hamla-āvar haiñ
junūñ andar junūñ hai be-ḳhudī kā raqs jaarī hai
diya raushan hai lekin tirgi ka raqs jari hai
KHirad hairat-zada hai bebasi ka raqs jari hai
tasawwur aaina-KHana hai har taswir afsurda
bikharti kirchiyon mein zindagi ka raqs jari hai
musaKHKHar kar liya insan ne ujlat mein sitaron ko
mohabbat mar rahi hai aagahi ka raqs jari hai
jo kahna tha nahin kahte jo kahte hain wo be-mani
kahi hai an-kahi aur an-kahi ka raqs jari hai
dua-e-nim-shab jugnu meri aankhon mein kya chamke
qatar-andar-qatar ek raushni ka raqs jari hai
jo mere lafz tum ko wajd mein mahsus hote hain
mere andar meri diwangi ka raqs jari hai
safi' chaaron taraf yaadon ke lashkar hamla-awar hain
junun andar junun hai be-KHudi ka raqs jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.